✨ Enjoy 5% Off on All Prepaid Orders! .....
📘 Hanuman Chalisa only at ₹5 Only
🚚 Free Delivery on orders above ₹199.
Flat ₹75 OFF on ₹499+. Use code MANTRA75.
Devotee chanting Hare Krishna Mahamantra under Peepal tree with glowing aura – 5 Powerful Mantras by Swami Premanand Ji Maharaj

6 Powerful Mantras Suggested by Swami Premanand Ji Maharaj for Bhakti & Peace

Swami Premanand Ji Maharaj apne kathāon aur pravachano mein hamesha bhakti, prem aur sadhna par zor dete hain. Unke anusar, mantra jaap ek aisa madhyam hai jo insaan ke mann ko shuddh karta hai, chitt ko ekagrata deta hai aur bhagwan ke charanon se jodta hai. Maharaj Ji ne apne bhakton ko kuchh vishesh mantra jaap karne ki salah di hai jo bhakti aur shanti dono pradan karte hain.

Is blog mein hum jaanege 5 pramukh mantra jo Swami Premanand Ji Maharaj ne suggest kiye hain.

Radha and Krishna in Vrindavan with peacocks, golden divine light, and peaceful devotional aura

1. Hare Krishna Mahamantra

“Hare Krishna Hare Krishna, Krishna Krishna Hare Hare
Hare Rama Hare Rama, Rama Rama Hare Hare”

  • Ye mantra Kali-yug mein sabse shaktishali maana gaya hai.

  • Maharaj Ji kehte hain ki iska nitya jaap bhakti ko gehra karta hai aur man ko shanti deta hai.

  • Har din kam se kam 108 baar Tulsi mala se jaap karna ati shreshth hai.

2. Shiv Mantra

Simple Shiva mantra for beginners – Samb Sadashiv

Samb Sadashiv Mantra

  • Is mantra ko Maharaj Ji ne Shiv bhakti ka mool kaha hai.

  • Ye jaap mann ki ashuddhiyon ko door karke, bhakt ko antaric shanti aur pavitrata deta hai.

  • Isse rudraksha mala ya digital jaap counter par bhi kiya ja sakta hai.

3. Radha Naam Jaap

“Radhe Radhe”

  • Maharaj Ji kehte hain ki Radha Naam khud Krishna se bhi mahan hai.

  • Radha Rani ke bina Krishna ki bhakti adhoori hai.

  • Is simple lekin shaktishali naam ka jaap prem aur bhakti ko jagata hai.

Digital Jaap Counter with Tulsi mala and Bhagavad Gita – MalaMantra.in spiritual product for easy sadhna

4. Gopal Mantra

“ॐ देवकीनन्दनाय विद्महे वासुदेवाय धीमहि तन्नो कृष्णः प्रचोदयात्”

  • Ye mantra Krishna ke bachpan aur unki anant leelaon ki yaad dilata hai.

  • Iska jaap buddhi ko pavitra banata hai aur jeevan mein daya aur prem ka vikas karta hai.

  • Isse prabhu ke saath ek divya sambandh banta hai.

5. Shri Radha Krishna Mantra

“ॐ श्रीं राधा कृष्णाय नमः”

  • Ye mantra Radha aur Krishna dono ke divya milan ka pratik hai.

  • Maharaj Ji ke anusar iska jaap bhakti aur prem ko hriday mein sthapit karta hai.

  • Is mantra ke jaap se manushya ka jeevan kripamayi ho jata hai.

6. Krishnaya Vasudevaya Mantra

“ॐ कृष्णाय वासुदेवाय हरये परमात्मने।
प्रणतः क्लेशनाशाय गोविंदाय नमो नमः॥”

  • Ye mantra bhagwan Krishna ko Vasudeva ke roop mein sambodhit karta hai.

  • Iska jaap sarv kleshon ka nash karta hai aur bhakt ko manasik shanti deta hai.

  • Maharaj Ji kehte hain ki iska jaap se jeevan mein ananya bhakti aur raksha ka anubhav hota hai.

  • Isse Tulsi mala ya digital counter par kam se kam 11 mala karna shreshth hai.


Conclusion

Swami Premanand Ji Maharaj hamesha kehte hain ki naam jaap mein sabse mahatvapurn cheez hai bhav (भाव). Sirf shabd nahi, balki hriday se Radha-Krishna ya Shiv ka smaran karna hi asli sadhna hai.

Aap chahe Tulsi Kanthi Mala, Digital Jaap Counter, ya Rudraksha Mala ka upyog karein – mahatva jaap ki shraddha aur samarpan mein hai.

Leave a Reply

Shopping cart

0
image/svg+xml

No products in the cart.

Continue Shopping